Topics
Khaney ke zard rang ko pani mein ghol ker roshnayee bana lein.Eis roshnayee se munderja bala taaweez plate per likh ker subah,teesrey pehar aur raat ko pani se dho ker pee lein.yehi taaweez esi rang se chikney aur motey eik baalisht kaghaz per likh ker mutasera uzov per din mein teen(3) bar ghari ki sooiyoon(needles) ki gardish ke mutabik malein.Giza mein sard aur baadi chizoon aur namak se perhaze zaroory hey.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Shak aur be yaqeeni ke toofan
se peida honey wali taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko
yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.
Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka
elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia,
Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat
ki zakaat adaa ki hai.
Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es
roohani faiz ko aam karta hoon aur sayadna
huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah
taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat
ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.