Topics

HICHKIYAAN.

 Pani per eik baar

وَیَمُدُّ ھُمْ فِیْ طُغْیَانِھِمْ یَعْمَھُوْنَ

WA YA MUDDO HOOM FI TUGHYAANI HIM

dam ker ke aur ager aser taze kerna ho to plate per likh ker pani se dho ker pilayein.Ziyadah se ziyadah teen bar.Yeh dam shudah pani peetey hi hichkiyaan band hojati hain.

Topics


ROOHANI ELAAJ

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Shak aur be yaqeeni  ke  toofan  se peida honey wali  taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.

Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia, Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat ki zakaat adaa ki hai.

Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es roohani faiz ko aam karta hoon aur  sayadna huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.