Topics
Qad e adam aainey ke samney beth ker so martabah
وَحْلُلْ عُقّدَۃً مِّنْ لِّسَانِیْ
WAHLUL OQDATAN MIN LISAANI
Raat ko soney se pehley parhein ke her lafz alag alag adaa ho aur honton
ka hilna aainey mein nazar ataa rahey.Wazeefa khatam kerney ke baad hathon per
dam ker ke moonh per phair lein aur baat kiye baghair so jayein.Kosheish karein
ke 90nawey din ke eis amal mein koyee naga na ho.Ager ba amar majboori chand roz
na parh sakiey to naghey ke dinon ko shumaar ker ke baad mein poora ker lein.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Shak aur be yaqeeni ke toofan
se peida honey wali taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko
yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.
Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka
elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia,
Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat
ki zakaat adaa ki hai.
Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es
roohani faiz ko aam karta hoon aur sayadna
huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah
taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat
ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.