Topics
Ziyadah ter
halaat mein jadoo ka khayal woswasey se ziyadah koi ehmiyat nahi rakhta lekin
jadoo se inkaar bhi nahin kiya ja sakta.Jadoo eik ilm hey jo Quran Pak se sabit
hey.Fil waqey ager keisi shakhs per jadoo ka aser ho aur koi janney wala eis ki
tasdeek bhi kar dey ke jadoo kiya gaya hey tab yeh elaaj kiya jaye.
Subha buhat
sawerey uth ker fajr ki namaz parhein aur surah falaq ”KOL AOZI BIRABIL FALAK” قُلْ اَعُوْذُ بِرَبِ الْفَلَقْ parhtey parhtey
samander,darya ya nadi paar karlein.Doraney safar baat karna mana hey.Nadi ya
darya paar karney ke baad pani ke kinarey mashriq ki taraf moonh ker ke ukhroon
beith jaye aur ungusht e shahadat se ھَامَانْ – ھَارُوْتْ مَارُوْتْ likh ker hath
se mita dein.Likhney aur mitaney ka yeh amal har haal mein suraj nikalney se
pehley kiya jaye.Keisi jaga ager samander ya darya na ho tu wahan aabadi se baahar
koowyein ke pani mein apney chehrey ka aks dekhein.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Shak aur be yaqeeni ke toofan
se peida honey wali taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko
yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.
Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka
elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia,
Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat
ki zakaat adaa ki hai.
Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es
roohani faiz ko aam karta hoon aur sayadna
huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah
taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat
ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.