Topics
Yeh marz jiger ki kharabi se hota hey.Tajerbaat se yeh bat sabit hoyee
hey ke eis marz ke elaaj mein taaweez,ganda aur dam darood aur dawa se ziyadah
moasir hain.
Munderja bala taaweez likh ker mareez ke galey mein dall dein
2( Beiskahperaa eik khud ro
ghaas hoti hey.Zameen khod ker eis ki jarein nikal li jayein.Pani se dho ker
ungli ke eik pore ke barabar kat ker rakhlein.Ab mareez ke kad ke barabar kachey
soot ke 21ikees ya 41ikatees naap le ker chaar teyhein kar lein.Beiskahperey ki
eik jadh girah mein lapate ker eik baar
iyaak ka na boodo wa iyaak ka nasta een
Parh ker phoonk maarein aur girah kas dein.Eisi tarhan 21ikeiss
jaron mein 21ikeiss giraah laga ker mareez ke galey mein daal dein.Jeisey jeisey
marz khatam hoga yeh ganda bara hota jaye ga.Yarkaan khatam honey ke baad yeh
ganda pusht ki jaanib nikaal dein aur behtey hooey pani mein daal dein.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Shak aur be yaqeeni ke toofan
se peida honey wali taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko
yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.
Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka
elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia,
Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat
ki zakaat adaa ki hai.
Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es
roohani faiz ko aam karta hoon aur sayadna
huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah
taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat
ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.