Topics
Zard rang
فَبِأَيِّ
آلَاءِ رَبِّكُمَا تُكَذِّبَانِ
sy cheeni ki
plate per likhein.Aur bar bar chooney ke saaf shifaaf pani se dhoker
pilayein.Choney ka
pani hasil karney ka tareeqa yeh hey.Choney ka eik dailaa kisi
bertan mein daal ker pani bher dein.Choona pakney ke baad tandha honey dein.Ab
paani per jo pepree nazer aaye eis ko aheista se hata ker ooper ka paani le
lein pani niklatey waqt eis baat ka khayaal rakha jaye ke pani zaur se na hiley
kyonke zaur se hilney se bertan mein bethey hooey choney ke zaraat ka pani mein
shamil hona nuqsan dey ho sakta hai.
Ager eis amal mein waqt ho to sookhi laal mirchi ke chaar beejoon
per munderja bala aayat parh ker dam karein aur mareez mirch key yeh beej nigal
ley.Ooper se do teen ghoont pani pila dein.Pani kacha nahin hona chahiye.Paka
ker thanda ker ke pilayein.Jab tak heiza
rahey yeh elaaj jari rakhein.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Shak aur be yaqeeni ke toofan
se peida honey wali taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko
yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.
Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka
elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia,
Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat
ki zakaat adaa ki hai.
Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es
roohani faiz ko aam karta hoon aur sayadna
huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah
taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat
ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.