Topics
“TABAT YADA ABEE LAHABIYON oTAB MA AGHNA ANHO MALOHOOoMA KASAB.SAYASLA NARAN ZATA LAHAB.OAMRATUHU.”
تَبَّتْ يَدَا أَبِي لَهَبٍ وَتَبَّ ﴿١﴾ مَا أَغْنَىٰ عَنْهُ مَالُهُ وَمَا كَسَبَ ﴿٢﴾سَيَصْلَىٰ نَارًا ذَاتَ لَهَبٍ ﴿٣﴾ وَامْرَأَتُهُ حَمَّالَةَ الْحَطَبِ ﴿٤﴾ فِي جِيدِهَا حَبْلٌ مِّن مَّسَدٍ ﴿٥﴾
Eisha ki namaz ke baad 101 martabah parh kar pani per dam karein.24
ghantey mein peeney ke liy sirif yehi pani eistimal karein. Matlab yeh hey ke
itney pani per dam kiya jaye jo din aur raat ke zaroorat ke liye kafi ho. 24
ghantey guzarney ke baad ager pani bacha rahey to us pani ko kisi kiyari ya darakht
ki jarh mein daal dein aur agley 24 ghantey ke liye naya pani tayaar karein.
Elaaj ki mudat 21 roz hey.eis
doran koi dosra pani na piya jaye.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Shak aur be yaqeeni ke toofan
se peida honey wali taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko
yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.
Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka
elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia,
Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat
ki zakaat adaa ki hai.
Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es
roohani faiz ko aam karta hoon aur sayadna
huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah
taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat
ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.