Topics
JaOni ki umer mein baal motey hotey hain jo baad mein nisbatan
patley ho jatey hain.Baal eik had tak barhney
ke baad rukh jatey hain aur kuch arsey ke baad gir jatey hain.Baal ki
umer kamo beish chaar saal hoti hey.Kangi kartey waqt ager chand baal gir gai to
yeh koi tashweesh nahi hey.Lekin ager kangee kartey waqt barey baloon ke sath
chotey baal bhi nikal ayein to eis ka koi na koi subab zaror mojood hey jeis ko
bimaari ka naam diya ja sakta hey.
Baloon ki girney mein amooman
pehli alamat khushki hoti hey.Yeh khushki milavaty ghizaoun ke eistemaal,taze
khushboo dar khalis teile(pureoil) sir dhoney mein sabon ka eistemal,Khaney
mein namkeen aur bohat ziyadah chat pati
chizon ke eistemal ki waja se hoti hey.In cheezoon se perhaze karna zaroory
hey.
"AL KAREEM UL AAS oL MAFANAT UL FAAM"
اَلْکَرِیْمُ الْعَاصْ وَالْمَفَانَاتُ الْفَامْ
100 martabah parh ker itney pani per dam
karein jeis se achi tarhan sir shol jaye haftey mein teen bar eis tarhan dam kiye hooey pani
se sir dhowein eis amal ki muddat eik mah hey.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Shak aur be yaqeeni ke toofan
se peida honey wali taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko
yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.
Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka
elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia,
Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat
ki zakaat adaa ki hai.
Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es
roohani faiz ko aam karta hoon aur sayadna
huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah
taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat
ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.