Topics
Yeh eik marz hey jeis mein aadmi soonghney ki salaahiyat se mehroom
ho jata hey eisey khoshboo aati hey na badboo.Woh sarhey hooey khanoon mein bhi
tameez nahi ker sakhta.Eis marz ka talook dimaagh ke in khaliyoon se hey jo qooat
e shaama ko control kertey hain.Wajoohat eis ki bohat hain jeis ki tafseel eis
mukhtasir kitaab mein bayaan karna mumkin nahin.Elaaj pesh khidmat hey.Jab bhi
pani piyein pani per eik martabah
وَاللہُ یَخْتَصُّ بِرَحْمَتِہٖ WALLAH HO YAKHTAS O BE REHMATI HI
parh ker dam ker ke piyein.Paani peeney ke allawaa eik khooley moonh
ka qalayee shudda ya staineless steel ke piyali mein namak mila pani bhar kar eis
per dam kar lein aur eis pani ko subha nihaar moonh aur raat ko soney se pehley
5panch panch martabah naak mein charhaayein aur nikalkein.Naak ka pani piyaali
mein na girey balke kachi zameen per girna chahiye.Elaaj deir talab hey baghaire
kisi ghabaraahat ke arsey tak jaari rakhein.INSHALLAH marz se nijaat mill jaye
gi.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Shak aur be yaqeeni ke toofan
se peida honey wali taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko
yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.
Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka
elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia,
Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat
ki zakaat adaa ki hai.
Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es
roohani faiz ko aam karta hoon aur sayadna
huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah
taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat
ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.