Topics
HAMAL ZAAYA HONA AUR BACHOON KA PEIDA
HOTEY HI MAR JANA.
Maa ke pate mein bachey ki saheeh nashonuma hona ya bacchey ka peida
hotey hi mar jana.In halaat ki waja maa ke dimaagh mein in khalyoon ki kamzori
hoti hey jo bachey ki takhleek mein kam kartey hain.Maa ke dimaagh mein kamzauri
ki waja ziyadah ter zehni pecheedhgee lekoriya ghar ka na khushgawar maahol hota
hey.Dauran hamal taze,ghalat aur ziyadah dawaaon ke eistemaal se bhi yeh soorat
peida ho jati hey.
In sab eisbab ke tadarukh ke sath sath UM AS SUBIYAAN اُمَّ الصُبْیَانْ (eis ka bayan kitaab ke shiroo mein aa chuka hey) wala taaweez zard rang ke chikney kaghaz per likh ker bilkol ibtadai daur mein maa ko apney galey mein pehnlena chahiye aur her jomairaat ko sham ke waqt kaprey ke khol se nikaley baghair taaweez ko luban ki dhooni deni chahiye.Wilaadat ke baad yeh taaweez maa apney galey se utaar ker bachey ke galey mein daal pehna dey.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Shak aur be yaqeeni ke toofan
se peida honey wali taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko
yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.
Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka
elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia,
Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat
ki zakaat adaa ki hai.
Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es
roohani faiz ko aam karta hoon aur sayadna
huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah
taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat
ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.