Topics
Kabhi kabhi khayalaat mein itnaa hajoom ho jata hey ke dimaagh ki
who salahiyat jo khayaalaat ko taqseem karti hey mutaasir ho jati hey.Ager
aisee haalat mein paani samney aa jaye to dimaagh kam karna chaur deta hey aur
mirghi ka dauraah parh jata hey.Jab tak khayaalat ka hajoom maamool se ziyadah
rehta hey mareez be hosh rehta hey aur jab yeh hajoom muntashir ho jata hey to
mareez ko hosh aa jata hey.Daureh se choonkey tamaam asaab maflooj ho jaatey hain
eis liye harkat deir mein hoti hey.Eis ka waqti aur fauri elaaj yeh hey.
Mareez ke sir ko
zameen se hath per sirf eik inch ooper uthaa liya jaye.Eis se ziyadah nahi 2do 3teen
martabah sir ko halki junbish se hilaaya jaye.Daurah khatam ho jaye ga taahum
ankhoon ki putliyon ki nigraani kuch deir tak karein taakey woh khaliyey jo
hafizey se mutaaliq hain dekhney waaley ki nigahon se takraayein aur shaoor bahaal
ho jaye.Mirghi ke marz ki eik shanaakht yeh bhi hey ke potliyaan apni jaga se
kuch na kuch ooper ki taraf hat jati hain.
Mirghi ke
mareez ka roohaniyat mein elaaj yeh hey ke 40chalees roz tak subha nihaar moonh
eik plate per
اَلّْطُرُقُ النَّاسُ وَالْا جِنَّۃٌ وَالرُّوحُ
اَلْعِبَادِ الصَّالِحِیْنَ فیِ الْکَوْنِ
Likh ker paani se dho ker pilayein aur saath hi eik barey
kaghaz per likh ker sir se pair tak kaaghaz ko pooray jeism per malein.Kaghaz
path jaye to dobaraah likh liya jaye.Doaraan e elaaj eis baat ka khayaal rakha jaye ke
mareez ko kabz ki shikaayat na ho.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Shak aur be yaqeeni ke toofan
se peida honey wali taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko
yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.
Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka
elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia,
Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat
ki zakaat adaa ki hai.
Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es
roohani faiz ko aam karta hoon aur sayadna
huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah
taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat
ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.