Topics
Cheeni ki plate
per munderja bala naksh khaney ke zard rang se likh ker pani se dho ker piyein aur
786 ke bagheir bari plate per likh ker pani se dho ker eik balti pani mein daal
dein aur eis pani se ghusel karein.
Cheehp ke liye
muddat elaaj 4chaar mah hey.Mamooli phonsiyoon ke liye 11giyarah roz, phoron se
nijaat paney ke liye 1eik mah aur khoon ki safai ke liye 1eik plate rozana 40chalees
roz tak dho ker piyein.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Shak aur be yaqeeni ke toofan
se peida honey wali taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko
yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.
Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka
elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia,
Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat
ki zakaat adaa ki hai.
Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es
roohani faiz ko aam karta hoon aur sayadna
huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah
taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat
ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.