Topics

ANKH KA NARSINGA.

Eis marz mein ankh ke ooper jhilly(layer) aa jati hey aur nazer eis jhilly mein dab jati hey.Waja eik khas kism ki gas hoti hey.Pehley yeh gas dimagh per asar andaz hoti hey aur eis ke baad ankh ke ooper aser karti hey.Darasal yeh gas hi jhili ban ker ankh ke ooper pardah ban jati hey.

Stain less steal ka pyala aur eik nayee churi(knife) lejiye.Pyaley mein distilled water ya ghar mein pakaya hoa thanda pani bhar dein.Hath dho ker ya kooli kar ke teen martaba

“al hayool  kayoom wa la  ilaho  ilallaho  ya  raheemo  ya  allaho ya moreeedo  ya raheemo  ya   allaho ya  moreeedo ya raheemo  ya  allaho  ya   moreedo ”.

اَلْحَیُ الْقَیُومُ  وَ لَا اِلٰہَ اِلَّا اللّٰہُ یَا رَحِیْمُ یَا اَللّٰہُ یَا مُرِیْدُ یَا رَحِیْمُ یَا اَللّٰہُ یَا مُرِیْدُ یَا رَحِیْمُ یَا اَللّٰہُ یَا مُرِیْدُ

Parh ker eik phoonk pani per marein aur doosri phoonk chehrey per.Ab chehrey se pani ko kaatein yani eik minute takh pani mein cross [X] banatey rahein. Dobarah phir teen martabah parh ker pani aur chehrey per dam karein aur pani ko eik minute tak kaatein. Eisi tarhan tesri martabah bhi yehi amal dohraayen.Yeh pani do do (2)ouns har chaar(4) ghantey ke baad pee lain. isi tarhan ke sooraj tuloo honey ke bad se ishaa tak yeh pani poora ho jaye. Elaaj mein mudat darkar hey mager bafazlehi tallah kamyabi yakeeni hey.

Topics


ROOHANI ELAAJ

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Shak aur be yaqeeni  ke  toofan  se peida honey wali  taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.

Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia, Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat ki zakaat adaa ki hai.

Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es roohani faiz ko aam karta hoon aur  sayadna huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.