Topics

TAOON

 Yeh aisa marz hey jo aam taur se choohon(Rats) ke zariyey perwarish pata hey.Taaoon sab se pehley choohon mein taaoon berdaar pisooaun se phelti hey.phir yeh peisoo admiyoon per hamala aawer ho ker in taaoon ki waba pehla detey hain.Alaamat ke taur per keisi na keisi jaudr per gilti namoodar hoti hey aur bukhar shiroo ho jata hey.Gilti jitna

zor karti hey utna hi bukhar badhta hey.Inteha yeh hey ke bukhar eik soo aath 108digree tak pohunch jata hey mareez do din mein ya tesrey roz khatam ho jata hey.Bukhar ki halat mein jab izaafa hota hey to mareez behosh ho jata hey.Woh keisi ko na pehchanta hey aur na hi keisi se kuch baat karta hey.Kaanon mein jo awaz puhunchti hey woh eis ko sunai deti hey lekin yeh awaz bhi woh achi tarhan nahi sunta.Gilti ziayadah ter baghlon ya chadhon se nikalti hey.

Taaoon ke keerey choohon ke biloon se eik foot baaher aa jatey hain aur adami ke peiron se chemat ker ooper ki taraf chimatna shiroo ker detey hain.Yahan tak who chadhon aur bagloon tak puhunch jatey hey.In keeron ki margoob ghiza chadhon aur bagloon ka ghosht hota hei.Yeh eis shidat mein phelta hey ke ager eik mint. mein in ki taadad eik lakh hey to 2 minut mein in ki taadad dus lakh ho jati hey.Elaaj yeh hey:-

الطَّلَاقُ مَرَّتَانِ ۖ فَإِمْسَاكٌ بِمَعْرُوفٍ أَوْ تَسْرِيحٌ بِإِحْسَانٍ ۗ وَلَا يَحِلُّ لَكُمْ أَن تَأْخُذُوا مِمَّا آتَيْتُمُوهُنَّ شَيْئًا إِلَّا أَن يَخَافَا أَلَّا يُقِيمَا حُدُودَ اللَّـهِ ۖ فَإِنْ خِفْتُمْ أَلَّا يُقِيمَا حُدُودَ اللَّـهِ فَلَا جُنَاحَ عَلَيْهِمَا فِيمَا افْتَدَتْ بِهِ ۗ تِلْكَ حُدُودُ اللَّـهِ فَلَا تَعْتَدُوهَا ۚ وَمَن يَتَعَدَّ حُدُودَ اللَّـهِ فَأُولَـٰئِكَ هُمُ الظَّالِمُونَ ﴿٢٢٩﴾

AL TALAAQ O MARATAANE FAMSAAKON BE MAROOFEN O TASREEHON BE EHSAANIN WALA YO HILO LAKUM AN TA KHUZOO MIMMA A TEYTUMOO HONA SHEYEEAN AN YA KHAFA ALLA YOQEEMA HODOOD ALLAHEY FA INA KHIFTUM ALLA YOQEEMA HODOOD ALLAHEY FALA JOONA HA ALLEIHIMA L T FEEMA AFTADAT BEYHEE TILKA HODOOD ULLAHEY FALA TAATADOOHA WA MAN YAA TADDA HODOOD ALLAHEY FA OOLAAEQA HOOM UZ

 ZALIMOON

Koi sahab eik hazar martabah pani per dam karein aur eik eik ghoont mareez ko pilayein.Eisi tarhan din mein kam az kam panch martabah karein.Pehley ghantey ke baad doosrey ghantey mein,doosrey ghantey ke baad chauthey ghantey mein,chauthey ghantey ke baad saathwey ghantey mein aur saathwey ghantey ke baad 12wey ghantey mein.Ager ifaqaa mamoomli ho to raat ko bhi yeh amal karein aur din mein bhi.Ifaqey ki shunakht yeh hey ke bukhar kam hona shiroo ho jaye ga.Yahan tak ke mareez ko shifa ho jaye gi.

 


Topics


ROOHANI ELAAJ

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Shak aur be yaqeeni  ke  toofan  se peida honey wali  taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.

Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia, Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat ki zakaat adaa ki hai.

Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es roohani faiz ko aam karta hoon aur  sayadna huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.