Topics
Sehet ke asoolon ke pesh e nazar yeh bohat zaroory hey ke ghar saaf suthra rahey aur ghar mein seel na ho.Eis ke sath ghar ki fiza ko saaf karney ke liye lobaan ya bakhoor ki dhoni detey rahna chahiye.Aur yeh talaash karna chahiye ke ghaar ke afraad kyon bimaar rehtey hain.Ager koi waja samhajh mein na aye to yeh elaaj karein.
likh ker aisi jaga latkayein ke taaweez hiltaa rahey.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Shak aur be yaqeeni ke toofan
se peida honey wali taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko
yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.
Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka
elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia,
Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat
ki zakaat adaa ki hai.
Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es
roohani faiz ko aam karta hoon aur sayadna
huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah
taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat
ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.