Topics
Koi kam karney se pehley eistikarah karna
sunnat hey.Eistakarah darasal AllahTallah se mashwarah karna hey.
“IFTAH IFTAH YA
BAEEDO AL JAYEB BIL KHAIEI YA BAEEDO”
اِفْتَحْ اِفْتَحْ یَا بَدِیِعُ الْعَجَائِبِ بِاالْخَیرِ یَا بَدِیِعُ
21 martabah.Dorood khizri
“SAL ALLAHO TAALLAH
ALLA HABIBE HI MUHAMMAD WA SALIM”
صَلَّ
اللّٰہُ تَعَالیٰ عَلیٰ حَبِیبِہٖ مُحَمَّدِ وَّ سَلَّم
Awal o akhir
eik eik martabah parhiyey.Eis ke bad daanye(right) karwat let ker chehrey ke
nichey daanye(right) haath ki hateli
rakh kar so jayen. Sotey waqt jo baat maloom karni ho usey zehan mein dohrayein.
Zayadah se zayadah 3teen ayam ke ander khuwa
b ya bedaari mein jo kuch maloom kya gaya hey munkashif ho jaye ga.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Shak aur be yaqeeni ke toofan
se peida honey wali taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko
yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.
Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka
elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia,
Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat
ki zakaat adaa ki hai.
Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es
roohani faiz ko aam karta hoon aur sayadna
huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah
taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat
ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.