Topics
Neend kam aaney ki wojoohaat mein bari waja dimaagh mein kushki asaabi
kashaakash,dimaaghi kashmakash ya belfaaz e deeger dimaaghi khalafshaar.Zehni
dabao fikr o alam aur khoof o ranj hotey hain.Pehley in batoon se jahan tak
mumkin dimaagh ko khali karna zaroory hey.Aisa karna irtikaaz e tawajho ke amal
se bohat asaan ho jata hey.
Sab kamoon se faarigh
honey ke baad araam de bister per late jayein.Jeism ko dheela chaur dein.Aankhey
band ker lein aur yeh tasawoor karein ke gardan se naaf tak jeism per sheeshey ka
eik bara jar rakha hooa ho aur eis mein halki thandi aur farhat ameiz roshniyaan
bhari hooyee hain.Jab yeh tasawor kaayem ho jaye to surh al bakra ki pehli ayat
الم ذَلِكَ الْكِتَابُ لاَ رَيْبَ فِيهِ هُدًى لِّلْمُتَّقِيْنَ سے يُؤْقِنُونَ تک
tak parhna shiroo ker dein.Chand baar parhney se neend ki meethi aaghosh naseeb ho jaye
gi.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Shak aur be yaqeeni ke toofan
se peida honey wali taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko
yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.
Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka
elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia,
Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat
ki zakaat adaa ki hai.
Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es
roohani faiz ko aam karta hoon aur sayadna
huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah
taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat
ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.