Topics
Halat jab peicheedgi
ikhtiyaar ker letey hain masla keisi tarhan hal nahi hota to insaan ke ooper
jamood taari ho jata hey.Eis jamood ki waja se eis ke ander fehm o firasat aur
qoowat-e-eraady maflooj ho jati hey.Bawajood koshish ke woh keisi nateejey per
nahi pohanchta.Karobaar e zindagi mein nakaam rehta hey.Eis ka aser rohani aur
jeismani sehet per bhi parhta hey.Yeh soorat e haal khod eis ke liye aur ghar
ke doosrey afraad ke liye azaab ban jati hey.Eis se chotkara hasil karney ke
liye chandi ki anghoti per no khaney bana ker hindsa kandah kara liya jaye aur
yeh anghoti seedhey hath ki choti ungli ke baraber wali ungli mein pehan liya jaye.INSHA
ALLAH masla hal ho jaye ga.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Shak aur be yaqeeni ke toofan
se peida honey wali taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko
yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.
Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka
elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia,
Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat
ki zakaat adaa ki hai.
Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es
roohani faiz ko aam karta hoon aur sayadna
huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah
taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat
ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.