Topics
Jab koi quom Allah Tallah ke
banaye hooye kanoon se inheraaf karti hey aur khair o shar ko jantey bhoojtey
kanoon shikni ki murtakib hoti hey to eis ke andar yakeen ki qoowatein aur kam
se kam ho jati hain.Jaisey jaisey yakeen
kamzor parta hey eis ke aqaayed
mein sokum waqey hota hey aur eis sokum ki wajah se koi quom tauhmaat mein mubtala
ho jati hey.Tauhmaat ke ghalbey se insaan ke ander waswasey janam letey hain.In waswason ki wajah se eis ke ander hirso hawas
eis qadr barh jati hey ke zindagi ka daar o madaar Allah Tallah ke bajaye
wasaayl per reh jata hey.Yehi who marhala hey jahan se qomon ka zavaal shiroo hota
hey aur qanoon e qudrat choonke aisee quomon ko bardasht nahi karta eis liye eis
ke ooper afaate arzi o samawi naazil hoti hain.
Iradah aur amal ke sath be yakeeni ko khatam karney ki koshish karni chahiye aur afaate arzi o samawi se mehfooz rehney ke liye 9 inch chorey(wide) aur 12 inch lambey (long) safaid art paper ke ooper siyah chamakhdar roshni se bohat khoobsorat likh ker ya likhwa ker yeh naqsah apne ghar mein aweizan karein.
ager khuda na khuasta koi waba pehal gayee ho to yeh hi naqsh safaid cheeni
ki teen(3) paleton per zafraan aur arq e gulaab se likhen aur subah,shaam aur
raat ko paani se doh ker sarey ghar waley piyein.Penney mein paani pakka ker eistemal
kiya jaye.
Note: Ager
zafraan dastiyaab na ho ya khareedney ki eistetaut(capacity) na ho to kahney ka
zard rang eistemaal karein.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Shak aur be yaqeeni ke toofan
se peida honey wali taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko
yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.
Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka
elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia,
Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat
ki zakaat adaa ki hai.
Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es
roohani faiz ko aam karta hoon aur sayadna
huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah
taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat
ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.