Topics
Kuch chehrey aisey hotey hain ke nuks na honey ke bawajood jazib e nazer nahin hotey.Yeh sorat e haal baaz auqat bari azyat nak hoti hey..Ager koi shaks musalsal nazr andaz hota rahey to woh past hamti aur ehsas e kamtari ka shikar ho jata hey.
Umdah keism ki siyah chamakdar roshnai se full escape safeid art paper ke ooper khoskhat likh ker frame kara liya jaye.Eis frame shudah naksh ko raat ko soney se pehley teen chaar
foot
ke fasley se das ya pandarah minute rozana dekha jaye.
EIK SO MARTABAH
qaala ya bushrah haaza ghulamon wa asaro hoo bidaa atan
Parh ker eik lotey pani per dam karein aur eis pani se moonh dhoyein.Moonh
dhoney ke baad donon gaal thap thapayein tolya ya kaprdey se chehra khushk kiye
bagheir so jaein.Albata pani kyari ya gamaley mein daal dein takey be hurmati
na ho.
Elaaj ki muddat kam se kam 40chalees rooz aur ziyadah se ziyadah 90
din hey. Khawateen naga ke din shumar ker key baad mein paura karlein.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Shak aur be yaqeeni ke toofan
se peida honey wali taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko
yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.
Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka
elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia,
Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat
ki zakaat adaa ki hai.
Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es
roohani faiz ko aam karta hoon aur sayadna
huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah
taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat
ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.