Topics
Rakh ka phool (dhektey koiley jab bhujtey hain to in per rakh jamna
shiroo ho jati hey.Eis rakh ka kuch hisa safaid hota hey.Yehi rakh ka phool hey)
ungusht shahadat ke pehley porooey per lagayein,eik martabah “YA WODOODO” Parh
ker eis ke ooper dam karein aur ungli se mutasirah jaga per cross (X)
banaein.Ager marz phelaa hooa ho to esee tarhan nai raakh(ashe) le ker dobarah(2nd time) aur seyh barah(3rd time)
karein.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Shak aur be yaqeeni ke toofan
se peida honey wali taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko
yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.
Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka
elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia,
Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat
ki zakaat adaa ki hai.
Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es
roohani faiz ko aam karta hoon aur sayadna
huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah
taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat
ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.