Topics
Aasabi kamzori ki wojoohat bohat hain maslan mustaqil ulhajan.Bezari
dimaghi kashakash,boht ziyadah dimaghi takkhan, neend ki kami ,nizam hazam ka mustaqil
kharab rehna,faza aur maahol ka taghayur ,khoof aur dehshat,roohani iqdqar se inheraaf,qannaat
ka na hona,shak,waswasey aur adum tahafuz ka ehsas waghera waghera.
Sab se pehley
yeh zaroory hey ke insaan apney ander qannat peida karey aur apney mamalat ko
Allah Tallah per chorney ki aadat daaley.Allah Tallah per muamalat chorney se
murad yeh nahin ke aadmi hath peir chor ker beth jaye.Sahi tarze fikr yeh hai ke
aadmi wazeefa e aaza poora karney ke baad natijah Allah Tallah ke ooper chor de
aur bator elaaj sirf eik ghoont pani per eik martaba “AL RAZAAT AMA NOVIL” اَلْرَّضَاعَتْ عَمَا نَوِیْلْ
parh kar pani
per dam kar ke subah nihar monh pia jaye.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Shak aur be yaqeeni ke toofan
se peida honey wali taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko
yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.
Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka
elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia,
Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat
ki zakaat adaa ki hai.
Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es
roohani faiz ko aam karta hoon aur sayadna
huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah
taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat
ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.