Topics
Naak mein hadi ka bardh jana,saans rukhna,naak ke ander jhili ka kharaab hona,khunaak,naak ke ander mazeed hadi ka peida hona,naak ke ander phoonsiyaan,naak ka taaffun aur naak ke ander phaurha hona.In sab amraaz ke liye keisi moomy kaghaz per
likh ker kaghaz ko maurh ker taaweez bana lein aur moom jama ker ke
galey mein daal dein.Yeh taaweez aasmani rang ya siyaah chamakdaar roshnayee se
likha jaye.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Shak aur be yaqeeni ke toofan
se peida honey wali taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko
yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.
Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka
elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia,
Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat
ki zakaat adaa ki hai.
Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es
roohani faiz ko aam karta hoon aur sayadna
huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah
taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat
ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.