Topics

BACHOON KE AMRAAZ AUR UN KA ELAAJ.

UM AL SUBIYAAN (SOOKHA)

Bachoon ka khouaab mein darna,zIyadah rona,cheekh cheekh ker rona.larazna,khood ko ya dosroon ko nochna,bagheir kisi waja ke baar baar bukhAar hona,kisi kism ki peidaeishi bemaari ya kamzori saheeh nash o numa na hona ya jism per se goosht khatam ho jana.Sookh ker kantey ki tarhan ho jana.Pani ki tarhan dast ana.Aur ankhon mein halkey ban jana.Yeh sab um al subiyaan ke marz ki alaamtein hain.

Eis se bachoon ko mehfooz rakhney ke liye momi kaghaz per

Likh ker mom jama ker ke asmani kaprey mein see ker galey mein daal dein.Haftey mein eik baar kaprey ke khol se nikaley bagheir taaweez ko lobaan ki dhooni zaroor dein.


Topics


ROOHANI ELAAJ

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Shak aur be yaqeeni  ke  toofan  se peida honey wali  taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.

Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia, Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat ki zakaat adaa ki hai.

Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es roohani faiz ko aam karta hoon aur  sayadna huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.