Topics
Shiddat-e-marz mein munderja zail taaweez zard roshnayee se likh ker
bati ko rooyee mein lapeit ker faleeta bana ker
ghee ya zaitoon ke teil mein esi jaga jalayein jahan mareez ko dhooaan puhunchey.
Fry pan mein thauri si cheeni dal ker aag per rakh diya
jaye.Dhayaan rahey ke cheeni jalney na paye.Jab brown rang ho jaye to nichey
utar ker aadhi piyali pani eis mein dal ker taaweez ko dhho liya jaye.Eik eik
ker ke 11giyarah taaweez mutwatir giyarah roz pilayein.Aur dholey hooyey taaweez
ko jaladein.Khanon mein aam taur se jitna namak khaya jata hey eis mein 3/4teen
chothai kami ker dia jaye aur bazar ka pisa hooa namak hergiz eistemal na kiya jaye.Lahori
sabot namak ghar mein pees ker eistemal karein.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Shak aur be yaqeeni ke toofan
se peida honey wali taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko
yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.
Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka
elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia,
Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat
ki zakaat adaa ki hai.
Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es
roohani faiz ko aam karta hoon aur sayadna
huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah
taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat
ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.