Topics
Baaz auqat sir per shadeed choat lag janey se dimagh ka androni
nizam toot jata hey,koi sadma puhunchney ya dauraney khoon dimagh ko jathka
lagney se dimagh ki koi rag toot jati hey aur mareez behoosh ho jata hey.Eis ko
COMMA bhi kehtey hain eis ka “elaaj yeh hey ke dumbey ke oon ya bakri aur dumbey
ki khaal ko esi jaga jalya jaye jahan se mareez ko dhooaan puhanch sakey.Eis dhooein
se dimaagh ke woh khaliyey bahal ho jatey hain jin ki waja se mareez be hosh hooa
hey”.Elaaj mein bohat ziyadah ehtiyat ki zaroorat hey.Zarasi la perwaahi
khatrey ka baayes ban jati hey.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Shak aur be yaqeeni ke toofan
se peida honey wali taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko
yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.
Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka
elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia,
Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat
ki zakaat adaa ki hai.
Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es
roohani faiz ko aam karta hoon aur sayadna
huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah
taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat
ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.