Topics
Baghal aur peiron mein se boo aana nihayat takleef deh marz hey.Aisey
mareez jab keisi majleis mein bethtey hain ya apney jootey nikaltey hain to bad
boo ka aisa bhapaka nikalta hey ke paas bethney waley loog pareshaan ho jatey hain.Eis
marz se nijaat paney ke liye.110 martabah
بِسْمِ اللّهِ
الرَّحْمـَنِ الرَّحِيمِ
اِنَمَا حَرَّمَ عَلَیْکُمْ الْمَیْتَۃَ وَالدَّمَ وَلَحْمَ الْخِنْزِیْرِ
وَمَا اُھِلَّ بِہٖ لِغَیْرِ اللہِ ۚ
Ina ma harama alaikum al mayitata wa dama wa lehma al
khinzeer wa ma oohila be hi li ghair e llahey
Parh ker eik pound khaleis shehad per dam karein.Aur subha,shaam raat
eik eik chamchi khayein dauraan elaaj khanon mein namak ki miqdaar kam ker
dein.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Shak aur be yaqeeni ke toofan
se peida honey wali taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko
yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.
Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka
elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia,
Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat
ki zakaat adaa ki hai.
Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es
roohani faiz ko aam karta hoon aur sayadna
huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah
taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat
ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.