Topics

ALLERGY

Saat rang ke reshmi kaproon ke chotey chotey tukrey kisi jaga pehla ker rakhdein.Allergy ka mareez in rangdar kaproo mein se koi eik tukra utah ley.Eis tukrey per siyah tar kashi se

Kasheedah kari se likh ker mareez ke galey mein dal dein.Ager galey mein pehanney ya baazoo per bandney mein koi amer maney ho to yeh naksh takiyeh(pillow) ke ander rakhey lekin yeh ehtiyat karna zoroory hey key eh takiya(pillow) koi doosra shaks eistimal na karey

Allergic honey ki koi khaas waja mutayen nahin ki jasakti.Koi admi hawa se,kisi dawa se khushboo se ya kisi sakht dawa ke rade amal se bhi allergic ho jata hey.Waja koi bhi ho sab ke liye yehi elaaj hey.

Topics


ROOHANI ELAAJ

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Shak aur be yaqeeni  ke  toofan  se peida honey wali  taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.

Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia, Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat ki zakaat adaa ki hai.

Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es roohani faiz ko aam karta hoon aur  sayadna huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.