Topics
Munderja zail naksh kaghaz likh ker faleeta (bati) bana lein aur eis ko royee mein lapete ker mareez ki chaarpai ke kareeb jalein.Jab tak mareez se nijaat na miljaye yeh elaaj jari rakhein.
high blood pressure ke liye
yeh taaweez green colour se likhein.
blood pressure ke liye yeh taaweez red colour se likhey.
narvous breack down ke liye yeh taaweez zard rang se likh ker.
dosrey dimaghi amraz mein yeh taaweez blue colour se likhein.
NOTE:-Ager
sabz ya neela rang deistiyaab na ho to zard rang se likhna kafi hey.Sirf shart
yeh hey ke rang khanoon(food colour) mein eistemall honey waley hoon.
Elaaj ki muddat ziyadah se ziyadah chaalees roz hey.Faleeta chahey
roz eik bana lein ya eik se ziyadah bana ker rakhlein.Faleeta jalaney ke liye
miti ke diyey mein ghee eistemal karein.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Shak aur be yaqeeni ke toofan
se peida honey wali taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko
yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.
Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka
elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia,
Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat
ki zakaat adaa ki hai.
Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es
roohani faiz ko aam karta hoon aur sayadna
huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah
taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat
ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.