Topics
Khoon mein ghair sehet mand ratoobatein shamil ho janey se khoon kharaab ho jata hey aur eis se tarhan tarhan ki beemariyaan peida ho jati hein.Jin mein jildi amraaz bhi shaamil hein.
yeh naksh chaal ke mutabik zardey ke rang aur ark-e-gulab se
likh ker subha,shaam aur raat eik eik plate pani se dho ker 90nawey din tak piyein.
NOTE:-konon
mein diye gaye hindsey naksh ki chal ko zahir kartey hain.Naksh mein yeh hind
se nahi likhey jayeingey.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Shak aur be yaqeeni ke toofan
se peida honey wali taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko
yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.
Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka
elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia,
Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat
ki zakaat adaa ki hai.
Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es
roohani faiz ko aam karta hoon aur sayadna
huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah
taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat
ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.