Topics
Ehsas kamtary qoowat e irradi ki kamzory se waqey hota hey.jab yeh
samjhah jata hey ke hum kisi shaks ke samney nahin ja saktey,baat nahin kar
saktey hum doosrey logon se kamtar hain ya doosrey loog hum se kamtar hain.Tarze
fikr saheeh ho ya galat donon ka taluk dimaagh ke in khaliyoon se hey jo
zindagi mein kam aney waley jazbaat ko taqhleek kartey hain.aur jazbaat admi
key qoowat e iraady ke taabey hotey hain.eis liye jab insaan ke ander jazbaat eis
ke iradey ke taabey nahin rehtey to eis ki zindagi mein khala waqey ho jata hey.Eis
khala ka dabaao hi darasal ehsaas kamtary ki soorat mein zaher hota hey.
Nihayat asaan aur sahel elaaj yeh hey ke admi
her waqt ba wozoo rahey.Ba wozoo rehney mein eis baat ki ehtiyat lazim hey ke bolo
baraz ya ikhraaj e riyah ke kudrati amal ko roka na jaye kyon ke eis se bhi
dimag per zor parta hey.zaroorat parney per dobarah wozoo kar liya jaye.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Shak aur be yaqeeni ke toofan
se peida honey wali taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko
yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.
Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka
elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia,
Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat
ki zakaat adaa ki hai.
Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es
roohani faiz ko aam karta hoon aur sayadna
huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah
taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat
ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.