Topics
Soney ke dauraan
soney ki bemaari kayee wajoohaat ki bina per hoti hey eis mein eik waja pate
mein khechooyey ya keerey bhi hoti hey.Baharal waja kuch bhi hoon mareez jab
gehri neend mein so jaye to eis ke kareeb sirhaney ki taraf kharhey ho ker itni
awaz se ke neend kharab na ho,chand roz tak koi saahab کھٰیٰعص (kaaf yaa ain suaad) parhein.Parhtey
waqt her lafz ka fasla barabar hona chahiyey.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Shak aur be yaqeeni ke toofan
se peida honey wali taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko
yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.
Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka
elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia,
Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat
ki zakaat adaa ki hai.
Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es
roohani faiz ko aam karta hoon aur sayadna
huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah
taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat
ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.