Topics
Jeis tarhan bardon ko bawaaseer mein takleef hoti hey aur pakhaana
kertey waqt massey bahir aa jatye hain.Eisi tarhan bachoon ko bhi yeh bimaari
hoti hey ke rafa e haajat ke waqt,kaanch bahir aa jatey hein bachey rotey chillatey
hain aur eis ghosht ya kaanch ko ungly se nikaal ker ander karna parta hey.Eis
ka elaaj yeh hey ke bachey ki tehaarat eis tarhan karaein ke ultey hath ki
bardi ungli pakhaney ke muqam se raghard khati rahey.Teharaat kartey waqt
zabaan se فعِلُنْ فعِلُنْ partey rahey.Do teen
martabah ke amal se marz khatam ho jata hey.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Shak aur be yaqeeni ke toofan
se peida honey wali taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko
yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.
Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka
elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia,
Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat
ki zakaat adaa ki hai.
Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es
roohani faiz ko aam karta hoon aur sayadna
huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah
taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat
ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.