Topics
Yeh baat bohat gaur talab hey ke bachey zehni taur per jo kuch kabool
kartey hein eis mein adha hissa maa,baap ki tarze fikr aur ghar ke mahol se
banta hey, aur adha hissa baher ke maahol se. Agar ghar ka mahol pur sakoon na ho or maa,baap
lartey jaghertey rahein tu bachey bhi maa,baap ki aadat ikhtiyaar karletey hein.
phir yeh aadat in mein pukhta ho jatee hey.Pehley behn bhai apas mein dasto
gerebaan hotey hain aur phir maa,baap se larna shiroo kardetey hain.Kyon ke
maaa,baap mein zehni hum ahangee nahin hoti eis liye woh bachoon ki aadat per chasham
poshi ikhtiyaar kartey hain natijey mein bachey ghustak ho ker nafarman ho
jatey hain aisey maa,baap jin mein zehni hum ahangi hoti hey ya apney masail ki
talkhi ko aoulad ke samney zahir nahin honey detey in ki aoulad maa,baap ki
khidmat guzaar hoti hey.Beja laad pyaar ya baat be baat sakhti bhi bachoon ko
baghi bana deti hey.Yeh masala nihayat takleef dey hey Allah Tallah waldein ko eis
se mahfooz rakhey.
Tarze amal mein tabdilee ke saath
nafarman aoulaad ke liye ager yeh amal karliya jaye to us ki barkat se aoulaad
farmabardar ho jati hey.
Raat ke waqt bachaa ya bara jab ghehri neend so jaye,sirhaney kharey ho ker eik mertabah
بِسْمِ اللَّـهِ الرَّحْمَـٰنِ الرَّحِيمِ
بَل ھُوَ قُرَآنٌ مَجِیْدٌٓ فِی لَوحِ مَحْفُوْظٍ
Maa,baap itni awaaz se parhey ke soney waley ki neend na khrab ho
amal ki mudat 11 rooz aur ziyadah se ziyadah 21 roz hey.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Shak aur be yaqeeni ke toofan
se peida honey wali taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko
yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.
Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka
elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia,
Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat
ki zakaat adaa ki hai.
Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es
roohani faiz ko aam karta hoon aur sayadna
huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah
taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat
ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.