Topics

Watta Satta Ki Shadi

Sawal   : bhai ki shadi mere shohar ki behan ke sath hui thi. Aur bhawaj mein ikhtilafat ka assar meri azdawaji zindagi par bhi par raha hai. Meri bhawaj apne bhai ke ghar chali gayi hain aur mujhe mere bhai ke ghar bhaij diya gaya hai. Mere sasural mere bhai par zor daal rahay hain ke woh apne biwi ko Talaq day den. Agar aisa hua to intiqami karwai ke tor par mere shohar bhi mujhe Talaq day den ge halaank nah mere bhai is baat par tayyar hain aur nah mere shohar. Aap kkhuda ke wastay bitayen ke mein kya karoon.


Jawab  : raat ko sonay se pehlay 41 martaba surah ikhlaas parh kar baat kiye baghair bistar mein chali jayen. Ankhen band kar ke apne shohar ka tasawwur karte karte so jayen aur aap ke bhai yahi surah 41 baar parh kar baat kiye baghair bistar mein seedhay late kar aankhon se apni biwi ka tasawwur karte karte so jayen. Jab taq maamla tey ho yeh amal jari rakha jaye. Mutmaen rahen Talaq nahi ho gi aur dono ghar abad rahen ge.

Topics


Roohani Daak (1)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI