Topics

Be Wafa Shohar

Sawal   : baji ke shohar kisi nah kisi aawara aurat ke chakkar mein rehtay hain aur ghar se bhi gayab rehtay hain. Sath hi un ki maa behnain, baji par har terhan ka zulm bhi karti rehti theen. Jab un ki zayad-ti hadd se barhi to hum baji ko apne ghar le aeye. Un ke chaar bachay hain jo un ke sath hi hamaray ghar aa gay hain. Guzashta daidh saal se woh bachon sameit hamaray ghar mein hain aur behnoi ne is arsa mein poocha taq nahi aur nah kabhi koi kharch diya. Aap koi aisa hal bataiye ke behnoi bud chalni chore day aur raah raast par aa jaye, baji ka kaha manay, is ko apne ghar mein basaye. Is ki har baat manay aur bachon ki zimma daari uthaye. Aap khud sochye is mehengai ke daur mein abba sirf kamanay walay aur woh bhi nokari pesha aur do khandano ko paal rahay hain jabkay behnoi ka apna karobar hai aur woh har terhan ka aish o aaraam kar rahay hain lekin biwi bachay do waqt ki rootti ko tarastay hain.


Jawab  : apni baji se kahiye ke woh aadhi raat guzarnay ke baad do rakat Nafil parh kar aik so martaba بِسْمِ اللّٰہِ اَلْوَاسِعُ جَلَّ جَلَالَہُ parh kar bistar mein chali jayen. Ankhen band kar ke apne shohar ka tasawwur karte karte so jayen. Amal ki muddat 90 din hai. Nagha ke din baad mein poooray kar len. Is amal ki barket se aap ki baji shohar ki nazar ka “tara”ban jayen gi.

Topics


Roohani Daak (1)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI