Topics

Jald Baazi

Sawal   : mein bohat jald baz aur jazbati hon. Har kaam aur har baat mein taizi se karta hon, jis ki wajah se umooman logon se larai ho jati hai. Baad mein apni ghalti par afsos karta hon. Barah karam koi wazifa bitayen taa ke mujh mein soch samajh kar kaam karne ki salahiyat peda ho jaye.


Jawab  : subah Sooraj niklny se pehlay aur raat ko sotay waqt 21, 21 martaba ya Aleem parh kar pani par dam kar ke pi liya karen. Amal ki muddat 90 din hai. Jo kaam karen pehlay soch liya karen. Ghhor o fikar ke baghair koi kaam nah kya karen.

Topics


Roohani Daak (1)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI