Topics

Jin

Sawal   : mein Hafiz quran hon. Kabhi kabhi raat ko aisa hota hai ke koi cheez daba layte hai. Mehsoos hota hai ke mein jaag raha hon magar is cheez ke difaa ki qowat bilkul slb ho jati hai aur is douran yun hota hai ke mein apna haath mun mein daal kar ungli ko danoton se چباتا hon to yun lagta hai ke jaisay mere haath mein khoon nahi aur kabhi is douran rota hon, aawaz nahi nikalti, khofnaak aawazian nikalti hain. Agar koi aawaz day to jaldi chhutkara ho jata hai wagerna mere andazay ke mutabiq kam az kam paanch minute taq is azaab mein mubtala rehta hon. Raat sotay waqt 6 kalme, surah Fatiha , surah baqra ki ibtidayi ayaat, aayat al kursi taa khatam ruku aur surah baqra ki aakhri ayaat parh kar sona hamaray saaray ghar walon ka mamool hai balkay hamaray khandan ke bachay ko sab se pehlay yaad karaya jata hai aur bachay bhi parhte hain. Haan agar maloomat ke sath surah jin parh liya karen to bilkul theek rehta hon agar kisi din parhna bhool jaye aur jaldi neend aa jaye to is dabao ka hona laazmi amar hai. Is dabao ke baad surah jin parh kar sota hon yani surah jin laziman parhna padti hai. Jawab  irshad farmaen.


Jawab  : surah jin parhnay se jab aap theek rehtay hain to surah jin parh liya karen, pareshan honay ki kya baat hai.

Topics


Roohani Daak (1)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI