Topics

Rishta Ki Talaash


Sawal   : hum chaar behnain hain aur jawan hain. Hamara talluq aik Mutwast gharane se hai. Baap aur bhai jo kama kar laatay hain sab ka sab mehengai ki bent charh jata hai aur pesey ke baghair koi larki nahi laita. Hum aaj paanch chay saal se barri behan ke liye rishta talaash kar rahay hain lekin kamyabi nahi hoti. Mere walidain bohat pareshan hain aur chahtay hain ke is farz se jald subukdosh ho jayen. Aap Allah taala se hamari pareshani daur honay ke liye dua karen aur aisa wazifa bitayen ke jis ki barket se hamara yeh masla hal ho jaye. Yaqeen hai Allah taala aap ke zariye se hamari mushkilaat daur farma den ge. Ameeen !


Jawab  : har namaz ke baad so martaba  
ان اللّٰہ یرزق من یشاء بغیر حساب parh kar hathon par dam kar ke haath teen baar chehray par phair kar dua kya karen. Insha Allah muashi halaat durust ho jayen ge aur phir bakol aap ke paisa aeye ga to shadi ho jaye gi.

Topics


Roohani Daak (1)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI