Topics

Shohar Ka Mizaaj

Sawal   : mere shohar bohat be hiss hain. Gayarah saal ke arsay mein do teen baar aeye hain magar aisay jaisay koi ghair ho. Nah bachon se dilchaspi aur nah mujh se baat cheet. Siwaye larai jhagrre ke aur jany ke liye aisay be chain ho jatay hain jaisay ghar baar yahan nahi wahan ghair mulk mein hai. Agar kuch dinon ke liye yahan rehtay bhi hain to sochon mein mashgool, nah bachon se baat karna, nah hi ghar mein kisi zaroorat ka khayaal rakhna aur ab ke chaar saal baad aeye they. Magar barri mushkil se do haftay rahay aur aik din pehlay airport chalay gaye.
Aur wahan karaye ka kamrah le kar rahay magar raat ghar par nahi guzari. Woh jab bhi atay hain isi terhan peecha churatye hain jaisay hum koi cheez nahi hain. Afsos is cheez ka hai ke duniya mein mera koi nahi. Pandrah saal ki Umar mein is shakhs se shadi hui thi. Is waqt un ki Umar chalees saal ho gi. Gayarah baara saal se mein aath bachon ki dekh bhaal khud kar rahi hon aur mere shohar bilkul be talluq ho gaye hain.
Mein ne kaha mujh se akelay itna kaam nahi hota, nah hi mein ab logon ki baatein sun sakti hon. Is ka Jawab  yeh diya ke koi nokari kar le ya kisi se nikah kar le. Mein kisi ko rakh lon ga, ghar ki fikar nah kar, sab kuch ho jaye ga. Is din se meri sahet har waqt kharab rehti hai aur dil udaas rehta hai. Aap kkhuda ke liye koi aisi cheez deen ke is shakhs ke dil mein mohabbat aur hamdardi peda ho. Woh bohat kachay kaanon ke maalik hain jo bhi sikhayiye isi ki sun letay hain aur waisay hi karte hain. Har aik ke samnay sachey ban jatay hain aur mujhe bura bana dete hain. Jis ki wajah hai ke mein kuch bhi nahi kar sakti. Yateem be sahara jo hui. Agar koi sahara hota to shayad woh aisa nah karte. Khud bhi qader karte aur ouron se bhi karate. Mein jis ke sath achhai se paish aati hon, wohi mera dushman ban jata hai. Wajah samajh mein nahi aati. Ghar mein bhi aeye din kuch nah kuch vardatin hoti rehti hain. Nah ghar mein dil lagta hai aur nah hi kisi aur jagah.


Jawab  : aadhi raat guzarnay ke baad wuzu kar ke musaley par baith jayen. So martaba duroood shareef aur so martaba ya hi ya qayum ka vird kar ke musaley  par hi chit late jayen. Ankhen band kar ke yeh tasawwur karen ke gilaay se naaf taq aap ke oopar sheeshay ka aik jaar rakha hua hai. Is jaar mein roshniyan bhari hui hain. Jab roshniyan samnay aa jayen, yeh dekhen ke aap ke shohar is jaar ke andar mojood hain jaisay sheeshay ke kisi barray bartan mein machhli nazar aati hai. Teen chaar hafton ke is amal se aap ke shohar ka mizaaj aap se hum aahang ho jaye ga.

Topics


Roohani Daak (1)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI