Topics

Arzoo

Sawal   : khwaja sahib aik larki ke liye is se ziyada azaab ki baat kya ho gi ke woh bila waja buray kirdaar ki mashhoor ho jaye. Darasal kuch khangi mamlaat ki wajah se mere khalu jaan ke zehan mein ghalat fehmiya peda ho gayi hain. Un ghalat fehmiyon ki wajah se khalu ne mujhe khuwa makhuwa badnaam karna shuru kar diya hai. Mein agar isi kashmakash mein rahi to zehni mariza ho jaoon gi, mein chahti hon ke aap mujh ko koi aisa wazifa bta den jis ke parhnay se khalu jaan ka dil meri taraf se saaf ho jaye aur un ke zehan se mere baray mein saari buraiee nikal jaye aur woh mujh ko itna chahain jis terhan apni sagy beti ko chahtay hain, meri arzoo poori kara den.


Jawab  : raat sonay se pehlay teen so baar والْقتْ مافیْھا وتخلتْ
parh kar ankhen band kar ke apne khalu jaan ka tasawwur karen jab tasawwur qaim ho jaye to khayaal hi khayaal mein khalu jaan ki peshani par phoonk maar diya karen aur baat kiye baghair so jaya karen. Amal ki muddat nawway ( 90 ) din hai. Nagha ke din shumaar kar ke baad ko poooray kar den is amal se Insha Allah aap ki arzoo poori ho jaye gi.

Topics


Roohani Daak (1)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI