Topics

Be Joor Shadi

Sawal   : mein sab jagah se mayoos ho gayi hon. Aap is khat ka Jawab  jaldi aur tafseel se dijiye ga. Mein bachpan se hi dukh uthaati aa rahi hon. Ab 22 saal ki ho chuki hon. Gayarah saal ki Umar mein maa ne meri shadi kar di thi is waqt shohar ki Umar 23 saal thi. Shohar ka haal yeh hai ke jab mein maa ban'nay wali hoti hon to ghar mein chore kar bhaag jata hai, nah pesey day kar jata hai aur nah koi ration daal kar jata hai. Aik saal chaar mah guzar chuke hain, nah to mujhe service millti hai aur nah behan bhai acha sulooq karte hain. Duniya akailey bhi rehne nahi deti. Mein chahti hon ke shohar agar mujhe rakhna nahi chahtay to haq mohar day day taa ke mein muaash ka koi bandobast kar lon.


Jawab  : paanch waqt namaz ki pabandi karen aur Fajar ki namaz ke baad 41 baar surah Fatiha parheen. Surah Fatiha mein al-rehman uraheem 100 baar parheen. Yeh amal 90 din taq kar len. Aap khud apna muhasba bhi karen. Aisa to nahi ke shadi ke baad aap ke khayaal mein baar baar yeh baat aa rahi ho ke meri shadi Umar ke hisaab se sahih waqt par nahi hui. Aur is khayaal ne aap ke shohar ki kamzoriyon ko ziyada kar diya ho. Ya yeh bhi ho sakta hai ke aap yeh sochti hon ke bachpan ki shadi theek nahi hoti. Bashaour ho kar shadi ki jaye to ziyada achi zindagi guzarti hai aur aap shohar se haq mohar le kar doosri shadi karna chahti hon, bilashuba kam Umri ki shadi achi nahi hoti lekin jab bachay ho jayen to walidain ko aulaad ke liye eesaar karna chahiye basorat deegar bachay zehni tor par pas mandah reh jatay hain.

Topics


Roohani Daak (1)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI