Topics

Tonsils

Sawal   : mein masail ki gthrhi le kar aap ki khidmat mein haazir hui hon. Mein jab naveen ya dasvin class mein thi to mere chehray par kaafi danay aur keelen nikal aayi theen jo ke maathey par ziyada hoti theen. Mein inhen nikaal diya karti thi. Is douran terhan terhan ke nuskhay aazamaa_e, magar ab jabkay mein bi s si mein poanch chuki hon, keelen aur danay to kam ho gay hain magar nikaltay ab bhi rehtay hain. Mere chehray par daano ke nishaan is terhan par gay hain jaisay cheechak niklee ho. Kalay kalay nishaan aur chhootey chhootey garhay par gay hain. Garmiyon mein aisa lagta hai ke chehray se tail nikal raha hai. Kalay nishaan galoon aur thorhee par ziyada hain. Dosra masla yeh hai ke 3 saal pehlay mere baal cholhe se jal gay they jo mein ne neechay se ktwa diye. Phir is qader taizi se baal jhartay chalay gay ke ab chothai baal bhi nahi rahay. Khushki sir mein allag ho gayi hai aur neechay se balon ke do do mun nikal atay hain. Mein khalis khoprey ke tail mein homyo pithk dawa daal kar istemaal kar rahi hon magar nah sir ki khushki khatam ho rahi hai aur nah baal jharna band ho rahay hain. Teesri uljan yeh hai ke jab mein subah ya din mein ya Sooraj ki roshni mein padti hon to copy ke oopar kalay bareek bareek se nishanaat gardish karne lagtay hain. Mein jab copy par seedhi aankhh band kar ke daikhon to aik khaas ke qisam ke nishanaat copy par nazar atay hain aur agar ulti aankhh band kar ke daikhon to doosri terhan ke nishanaat copy par dornay lagtay hain. Aik saal pehlay mujhe lagta tha ke yeh nishanaat neechay ki taraf gir rahay hain. Magar ab to jidhar aankhon ko ghumaon yeh nishanaat wahan pouncha jatay hain. Is se meri parhai mein bhi harj parta hai. Mein parhnay ke bajaye un lakiron ka khail dekhnay mein lag jati hon aur agar aankhon ko deewar takiye ya chhat par markooz kar dun to yeh nishaan wahan bhi poanch jatay hain. Aik martaba mein din mein aasman ki taraf ghhor se dekh rahi thi to mujhe laga ke jaisay chhootey chhootey safaid nuqton ka aik jaal mere samnay hai. Mujhe yeh soch kar hansi bhi aayi ke mujhe din mein tarre kyun nazar aa rahay hain. Raat ke waqt yeh nishaan itnay ziyada nazar nahi atay sirf ulti aankhh wala nishaan nazar aata hai aur woh bhi gehra nahi hota.


Jawab  : chehray par daano ka masla yun hai ke aap ne shuru se ahthyat nahi ki. Aur aap daano ko torti rahen jis ke nateejay mein daano ki jagah daagh baqi reh gay. Danay niklny ki wajah yeh maloom hoti hai ke ghzaon mein aitdaal qaim nahi rakha gaya. Andon, khataas, chaye aur chiknai ka ziyada istemaal kya gaya hai. Aankhon ke samnay lakiron ke raqs ki wajah yeh maloom hoti hai ke aap ka gala kharab hai aur bad parheizi ki binaa par tonsils kharab hain. Tonsils kharab honay se kayi paicheeda bemariyan peda ho jati hain maslan qabz, alsar, paichis, gurdon ki takleef, piyoria, jaryaan, likorea waghera. Aap tonsils ka ilaaj karen Insha Allah aap ki bayan kardah shikayaat rafa ho jayen gi. Is ke sath sath aankhon ke dr se mahswara karna zurori hai. Chehray par se daagh dhabbay daur karne ki fikar baad mein karen. Pehlay gilaay ka ilaaj karen. Warna khuda na khwasta kayi bemariyan la-haq ho sakti hain. Ilaaj ke sath parhaiz bhi zurori hai. Nariyal ka tail sir mein jazb karna aap ke liye mufeed nahi hai. Imiltas ka goda aik chamach doodh mein pakka kar chhaan kar raat ko aur subah gharare 21 roz taq karen.

Topics


Roohani Daak (1)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI