Topics

Saya

Sawal   : mera larka ghulam Hussain jis ki Umar taqreeban 12 saal hai. Raat ko dar jata hai halaank mere sath kamray mein sota hai mein ne usay samjhaya hai ke darny aur khaufzadah honay ki koi zaroorat nahi, mein mojood hon. Darna kam himmat aur buzdil logon ka kaam hai lekin woh kehta hai ke yeh sab theek hai lekin mujhe nazar aata hai ke kamray ke bahar koi khara hai aur kabhi daikhta hon ke koi sehan mein chal raha hai phir yakayak yeh saya gayab ho jata hai. Pehlay mein usay vahm samjhta tha lekin larka barabar yeh shikayat kar raha hai.


Jawab  : aisa kyun hota hai aur saya kya hai? Is par Insha Allah aindah roshni daali jaye gi. Aap bachay ko ghzaon mein namak kam se kam khilain aur ho sakay to aik hafta mutlaq namak nah khilain. Phir aahista aahista namak khilain lekin kam. Is ke bar aks meethi cheeze qadray ziyada khilain. Hafta das din mein saya nazar aana aur dar khauf ki kefiyat khatam ho jaye gi.

Topics


Roohani Daak (1)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI