Topics

Qalb Ki Siyahi

Sawal   : mein paanch waqt ka namazi tha. Mazhabi mehafilon mein shirkat karta tha. Quran bhi kuch yaad tha. Phir waqt ne aisa palta khaya ke ab paanch waqt mein se aik waqt ki bhi namaz ada nahi karta. Nah quran yaad raha hai nihayat ghaleez gaaliyan zabaan par charh gayi hain jo har waqt bikta rehta hon. Itnay gunah kiye hain ke dil siyah ho gaya hai. Mein aap ko kkhuda ka vaastaa deta hon mujhe koi aisa tareeqa bitayen ke mere qalb ki siyahi dhul jaye.


Jawab  : apni walida ya kisi aur se kahin ke jab aap raat ko gehri neend so jayen to woh aap ke sarahnay kharray ho kar aik baar surah Fatiha ( alhmd shareef ) poori surah itni aawaz se parh den ke aap ki neend kharab nah ho. Aur is wazifa ko chalees roz taq bilanagah    jari rakhen.

Topics


Roohani Daak (1)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI