Topics

Dhoka

Sawal   : mein pehli martaba khat likhnay ki jasaarat kar rahi hon. Allah kere ke yeh khat aap taq poanch jaye. Mein bohat dukhi aur pareshan haal larki hon. Mere sath bhi wohi masla hai jo ke aaj kal har larki ke sath darpaish hai. Meri Umar tees saal ho gayi hai. Shadi nahi hui. Mera rishta mere apne hi khandan mein tey tha lekin ain mauqa par larke ne inkaar kar diya. Aur jagah is ko larki pasand aa gayi. Aur is ne shadi kar li. Ab woh apni biwi ke sath khush hai, bachay bhi hain. Lekin is ne mujhe to tabah kar diya. Mere sath mere walidain ke sath is ne dhoka kya.


Jawab  : raat ko baad az namaz esha awwal o aakhir gayarah gayarah martaba duroood shareef ke sath 313 martaba “ya Wahab “parh kar Allah taala se dua karen. Kasrat se wuzu ya baghair wuzu”ya hi ya qayum”ka vird karen. Hum agar mayoos ho bhi jayen tab bhi der sawair isi aik zaat Allah ki taraf haath uthana parte hain. Navz billah koi dosra Allah to hai nahi ke aik jagah se kaam nahi sun-hwa. Dosra darwaaza khatkhata den ge. Din raat mein jab bhi waqt mil jaye wuzu aur baghair wuzu ya hi ya qayum parha karen. Ghareebon ki dastgeeri Karen.

Topics


Roohani Daak (1)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI