Topics

Doosri Shadi

Sawal   : meri shadi ko dhai saal ho chuke hain. Jis mein se sirf do teen mah mein ne shohar ki chahat ke dekhe hain. Is ke baad samajh lijiye ke mein kanwari larki ki terhan zindagi guzaar rahi hon. Mere shohar mujhe mere maa baap ke ghar chore gay. Le kar bhi nahi jatay. Kkhuda ke liye meri madad kijiyej. Woh aik doosri aurat se shadi karna chahtay hain. Aap ki madad se mera ghar ajrhne se bach jaye ga. Koi aisa wazifa bitayen jis se un ke dil mein mere liye mohabbat peda ho jaye. Aur woh mujhe apne ghar le jayen. Aap ko payarey habib, suroor kaayenaat sale Allah aleh o slim ka vaastaa aap mujhe mayoos nah lotayein.


Jawab  : sab kamon se farigh honay ke baad raat ko sonay se pehlay awwal o aakhir gayarah gayarah martaba duroood shareef ke sath surah al khusar poori surah 41 martaba parh kar baat kiye baghair bistar par chali jayen, ankhen band kar ke apne shohar ka tasawwur karte karte so jayen, nawway din taq. Nagha ke din baad mein poooray kar len. Bilkul be fikar ho jayen. Allah ke kalaam ki barket se aap ke shohar doosri shadi nahi karen ge aur aap un ki aankhon ka tara ban jayen gi.

Topics


Roohani Daak (1)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI