Topics

Colour Therapy

Sawal   : aaj se taqreeban 4 saal pehlay mere dada ne aankhh ka operation karwaya tha. Aankhh ka operation to kamyaab raha magar tab se ab taq woh kaan ke dard ki shadeed takleef mein mubtala dard ki noiyat kuch is qisam ki hoti hai ke kaan mein tees uthti hai. Aur phir yeh tees kanpatti aur adhay sir mein phail jati hai kuch khanay ke liye mun taq nahi khol satke. Do teen din taq aisa hota hai phir khud bakhud do teen din aaraam rehta hai. Shuru mein to sahet achi thi is liye dard bardasht kar liya, magar ab burhapay aur kamzoree ke baais saari raat jaag kar guzartay hain. Is chaar saal ke arsay mein be shumaar doctoron ka ilaaj ho chuka hai. Ilaaj ke douran takleef mein kuch kami hoti hai magar takleef dobarah shuru ho jati hai. Ab aap ki khidmat mein haazir hue hain.


Jawab  : rang o roshani se ilaaj ke zareya par subah shaam niilii shu-aon ka pani aur dono waqt khanay se qabal naranji shu-aon ka pani 2, 2 oons aik mah taq pilain.

Topics


Roohani Daak (1)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI