Topics

Hasad Ki Aadat

Sawal   : mujhe hasad karne ki aadat hai. Bohat koshish ke bawajood aadat nahi choot’tee. Aap koi amal bataiye jis se yeh aadat chhuut jaye. Dosra masla yeh hai ke jab koi museebat ya imthehaan sir par atay hain to mujhe namaz parhnay ka khayaal aata hai aur mein namaz parhna shuru kar deta hon aur jab museebat tal jati hai to mera dil namaz se hatt jata hai.


Jawab  : Fajar ki adaye namaz ke baad ya raat ko sonay se pehlay teen so martaba
نَصْرُٗ مِّنِ اللّٰہِ وَ فَتْحُٗ قَرِیْبُ   parh kar apne oopar phoonk maar liya karen. Quran pak ki is aayat ki barket se hasad jaisi Rohani bemari se aap ko nijaat mil jaye gi.

Topics


Roohani Daak (1)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI