Topics

Neend Nahi Aati

Sawal   : meri beti ki Umar 29 saal hai aur teen bachon ki maa hai. Dhai saal se aik takleef mein mubtala hai jis ki wajah se hum sab pareshan hain. Tabeb kehte hain ke koi marz nahi lekin is ki haalat din badan kharab hoti ja rahi hai. Aaj se dhai saal qabal bachi ki paidaiesh se paanch mahinay pehlay larki kehti thi ke aadhi raat ko tahajud ke waqt koi mujhe aawaz day kar uthata hai ke utho aur namaz parho. Woh uth kar allag kamray mein namaz padhtien aur quran shareef aur choti choti soorton   ki talawat karti thi. Yeh maamla kayi din hota raha phir aik din is ghaibi aawaz par larki soorton   ki talawat kar rahi thi ke aandhi chali aur bulb bujh gaya phir bhi woh mom batii jala kar padhtien rahi. Parhte parhte dar lagnay laga aur yun mehsoos hua jaisay koi kaali si cheez is ke kaan mein ghis gayi hai woh kanpnay lagi aur ja kar so gayi. A seen waqea ke baad se woh koi kaam nahi karti. Aksar o beshtar khamosh rehti hai. Kehti hai ke adhay sir mein koi sara din baatein karta rehta hai ke aisa karo aisa nah karo. Sir khaali khaali sa mehsoos hota hai aur kabhi kabhi dil bethnay lagta hai. Aksar shakalain bhi nazar aati hain. Yun lagta hai ke sara badan kisi ne jakar rakha hai. Raat ko neend bhi nahi aati pehlay paanch waqt ki namazain padhtien thi, namaz bilkul nahi padhtien. Sara din bistar par pari rehti hai lekin neend nahi aati.


Jawab  : aik kaghaz par

یَا مَھْلَاءِیلُ

یَاثَمْنَاءِیلُ

یَامِیْکَاءِیلُ
یَا جِبْرَاءِیلُ

likh kar kaghaz ko mourr kar batii bana len. Is muray hue kaghaz ko roi mein lapait len. Roi aur kaghaz ki bani hui batii ko ghee ya Zaitoon ke tail mein aisi jagah jalayen jahan se dhuwan larki ke paas poanch sakay. Yeh amal raat ke waqt karen. Subah Sooraj niklny se pehlay surah falaq parh kar pani par dam kar ke nehar mun pilain. Woh haftay taq namak bilkul band kar den. Aur do haftay ke baad aik arsa taq namak kam se kam istemaal karayen. Teen waqt shehad ka istemaal bohat mufeed ho ga.

Topics


Roohani Daak (1)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI